WAQT NE KIYA KYA HASEEN SITAM……..Kagaz Ke Phool July 20, 2008
Posted by neilina in Uncategorized.1 comment so far
Waqt ne kiya kya haseen sitam
Tum rahe na tum ham rahe na ham
Waqt ne kiya…
Beqaraar dil is tarha mile
jis tarha kabhi ham juda na the
Tum bhi kho gaye, ham bhi kho gaye
Ek raah par chalke do qadam
Waqt ne kiya…
Jaayenge kaha sujhta nahi
chal pade magar raasta nahi
Kya talaash hai kuchh pata nahi
Bun rahe hain dil khaab dam-ba-dam
Waqt ne kiya…
O re Majhi…………BANDINI July 17, 2008
Posted by neilina in Uncategorized.add a comment
O re maajhi O re maajhi – mere maajhi
Mere sajaan hain us paar
Mein mann maar hoon is paar
O mere maajhi ab ki baar
Le chal paar, le chal paar
Mere sajaan hain us paar..
Mann ki kitab se tu
Mera naam hi mita dena
Gun tha koi bhi
Avgun mere bhula dena
Mujhko aaj ki bida kaa
Mar ke bhi rehta intezaar
Mere sajaan……….
Mat khel, jal jayegi
Kahti hai aag mere mann ki
Main bandini piya ki
Main sangini hoon sajaan ki
Mera khinchti hai aanchal
Mann meet teri har pukaar
Aaj kal Paon Zamin par nahin………… GHAR July 17, 2008
Posted by neilina in Uncategorized.1 comment so far
aaj kal paaw jameen par naheen padate mere
bolo dekhaa hain kabhee, tumane muze udate huye
jab bhee thaamaa hain teraa haath to dekhaa hain
log kahate hain kee, bas haath kee rekhaa hain
hum ne dekhaa hain do takadeeron ko judate huye
neend see rahatee hai, halakaasaa nashaa rahataa hain
raat din aakhon me, yek cheharaa basaa rahataa hain
par lagee aakhon ko dekhaa hain kabhee udate huye
jaane kyaa hotaa hai, har baat pe kuchh hotaa hain
din mein kuchh hotaa hai, aaur raat mein kuchh hotaa hain
thaam lenaa jo kabhee dekho humei udate huye
Ae Zindagi Gale laga le……..SADMA! July 15, 2008
Posted by neilina in Uncategorized.add a comment
Ae jindgi gale laga le
Ae jindgi gale laga le
Hum ne bhi tere har ik gam ko
gale se lagaya hai
Hai na ?
Ae jindgi gale laga le
Ae jindgi
Hum ne bahane se, chhup ke jamane se
palkon ke parde main ghar bhar liya
Hum ne bahane se, chhup ke jamane se
palkon ke parde main ghar bhar liya
tera sahara mil gaya hai jindgi
la la lala la la lala la la la
tera sahara mil gaya hai jindgi
Ae jindgi gale laga le
Ae jindgi gale laga le
Hum ne bhi tere har ik gam ko
gale se lagaya hai
Hai na ?
Ae jindgi gale laga le
Ae jindgi
Chhota sa saya tha, aakhon main aaya tha,
Humne do boondon se mann bhar liye
Chhota sa saya tha, aakhon main aaya tha,
Humne do boondon se mann bhar liye
Humko kinaara mil gaya hai jindgi
la la lala la la lala la la la
Humko kinaara mil gaya hai jindgi
Ae jindgi gale laga le
Ae jindgi gale laga le
la la lala la la lala la la la
Hain na?
Ae jindgi gale laga le
gale laga le
gale laga le
gale laga le
Ho, gale laga le
DIL HOOM HOOM KARE…….. RUDALI July 15, 2008
Posted by neilina in Uncategorized.add a comment
Dil hoom hoom kare, ghabraaye
Ghan dham dham kare, darr jaaye
Ek boond kabhi paani ki mori ankhiyon se barsaaye
Dil hoom hoom kare, ghabraaye
Teri jhori daaroon sab sukhe paat jo aaye
Tera chhua laage, meri sukhi daar hariyaaye
Dil hoom hoom kare, ghabraaye
Jis tan ko chhua tune, us tan ko chhupaaoon
Jis man ko laage naina, voh kisko dikhaaoon
O more chandrama, teri chaandni ang jalaaye
Teri oonchi ataari maine pankh liye katwaaye
Dil hoom hoom kare, ghabraaye
Ghan dham dham kare, darr jaaye
Ek boond kabhi paani ki mori ankhiyon se barsaaye
Dil hoom hoom kare, ghabraaye
Aaye tum yaad mujhe……MILI July 15, 2008
Posted by neilina in Uncategorized.add a comment
Aaye Tum Yaad Mujhe Gaane Lagi Har Dhadkan
Khushboo Laayi Pawan, Mehka Chandan
Jis Pal Naino Mein Sapna Tera Aaye
Us Pal Mausam Par Mehndi Rach Jaaye
Aur Tu Ban Jaaye, Jaise Dulhan
Aaye Tum Yaad Mujhe…
Jab Maein Raaton Ko Taare Ginta Hoon
Aur Tere Kadmon Ki Aahat Sunta Hoon
Lage Mujhe Har Tara, Tera Darpan
Aaye Tum Yaad Mujhe…
Har Pal Man Mera Mujhse Kehta Hai
Jiski Dhun Mein Tu Khoya Rehta Hai
Bhar De Phoolon Se, Uska Daaman
Aaye Tum Yaad Mujhe…
Songs! July 15, 2008
Posted by neilina in Uncategorized.1 comment so far
Starting my this blog to keep collection of my favourite songs!